Uski paayal agar chhanak jaaye

Uski paayal agar chhanak jaaye
Gardish'e aasmaa.n bhatak ho jaaye

Uski hansne ki kaifiyat tauba
Jaise bijli chamak chamak jaaye

Uski gardan ka tazkira sun kar
Jo suraahi hai wo chhalak jaaye

Le agar jhoom kar wo angdaai
Zindgi daar par laTak jaaye

Aise bharpoor hai badan uska
Jaise saawan ka aam pak jaaye

Chuur hai aise baankpan uska
Jaise das das k saanp thak jaaye

Haaye us mehjabee.n ki yaad 'adam'
Jaise seene me dam atak jaaye

Abdul Hameed Adam

Comments

Popular Posts