veh gesu'e fitnaa'e jaa.n ho to dil aabaad kya hoga

veh gesu'e fitnaa'e jaa.n ho to dil aabaad kya hoga
gham e hizraa ka ye aalam to koi shaad kya hogaa

jo naala hain meri jaa.n dil ki viraani pe hone do
kisi be khaanuma k lab pe juje fariyaad kya hoga

na jaane kaise kaise daastaan e dard dohraayi
magar us dard se naa aashnaa ko yaad kya hoga

tumhaari yaad dil pe laai hai barbaadiyaa kya kya
jo sultaa.n hi sitam dhaaye to mulk aabaad kya hogaa

Comments

Popular Posts