wo baat baat mein itnaa badataa jaataa hai

ke jis tarah koi waadaa badaltaa jaataa hai
ye aarzu thi ke hum uske saath saath chale.n,
magar wo shakhs to rastaa badaltaa jaataa hai
jo tez dhoop mein sar par rahaa wohi aanchal,
hawaa chali hai to kitnaa badaltaa jaataa hai
rute.n visaal ki ab khwaab hone waali hain,
ke uski baat kaa lahjaa badaltaa jaataa hai
wo baat kar jise duniyaa bhi mo'atabar samjhe,
tujhe khabar hai zamaanaa badaltaa jaataa hai

Noshi Gilaani
Comments
Post a Comment