Wo ik dil damaagh ki shaadaabi nishaat,

Wo ik dil damaagh ki shaadaabi nishaat,
girnaa chamak ke uf tiri barqe nigaah kaa


wo lazzat e ilm kaa jo khoogar samajh gaye,
ab zulm mujh pe hai sitam gaah gaah kaa


sheeshe mein mauje mai ko ye kyaa dekhte hain aap,
Is mein jo ab hai isi barq e nigaah kaa


Asghar Gondvi

Comments

Popular Posts