wo is ada se jo aaye to kyon bhala na lage

wo is ada se jo aaye to kyon bhala na lage
hazaar baar milo phir bhi aashna na lage

kabhi wo khaas inayat k sau gumaan guzren
kabhi wo tarz-e-taghaful k meharmana lage
...
wo seedhi saadhi adaen k bijliyan barsen
wo dilbarana murrawat k aashiqana lage

dikhaon daagh-e-mohabbat ko nagawar na ho
sunaon qissa'e'furqat agar bura na lage

bohat hi saadah hai tu aur zamana hai ayyar
Khuda kare k tujhe shehar ki hawa na lage

bujha na den ye musalsal udaasiyan dil ko
wo baat kar k tabiyat ko taaziyana lage

wo ghar ujar gaye un ka na ranj kar piyaare
wo charah kar k ye gulshan ujaarr sa na lage

ataab ehl-e-jahan sab bhula diye lekin
wo zakham yaad hain ab tak jo ghaibana lage

wo rang dil ko diye hain lahu ki gardish ne
nazar uthaon to duniya nigaar khana lage

ajeeb khuwaab dikhate hain na-khuda hum ko
gharz ye hai k safeena kinare jaa na lage

liye hi jati hai her dam koi sada Nasir
ye aur baat hai suraagh-e-nishaan na lage

Naasir Kaazmi

Comments