ye lag raha hai rag'e jaa.n pe laa k chhoDi hai
ye lag raha hai rag e jaa.n pe laa ke chhoDi hai
kisi ne aag bahut paas aa ke chhoDi hai
gharo ke aaine surat ganwaa ke baiTh gaye,
hawaa ne dhool upar uthaa ke chhoDi hai
ye ab khulaa ke usi mein nijaat thi meri,
jo cheez maine bahut aazmaa ke chhoDi hai
hawaa ka zabr kahi.n thamaa hi nahi
tiri gali bhi bahut dil dukhaa ke chhoDi hai
"Kamaal" dekhna ye khemaa ye Husain hai kya,
kisi ne dil mein koi shai jalaa k chhoDi hai
Ahmad Kamaal Parwaazi

Comments
Post a Comment