Yeh to nahi.n ke tun saa jahaa.n mein hasi.n nahi.n,

Yeh to nahi.n ke tum saa jahaa.n mein hasi.n nahi.n,
is dil kaa kyaa karoo.n ye baheltaa kahi.n nahi.n?

dil ke sivaa naa kaabe mein hai wo, naa dair mein
gar hai to bas yahi.n hai,nahi.n to kahi.n nahi.n?

is dar pe jabee.nsaa.n ho to phir koi kyu.n uThe,
yaa sa.nge aastaa.n hi nahi.n yaa jabee.n nahi.n

duniyaa kaa haal hazrat e Isaa se poochiye,
kyaa aasmaan waalo.n mein ahle zamee.n nahi.n

kahtaa hoon dil se aur hasi.n DhooDhiye koi,
aataa hai phir kHayaal ke aisaa kahi.n nahi.n

mazhab mein apne tarke mulaaqaat kuf hai,
ye baat humnashee.n ki to kuch dilnashee.n nahi.n

kyaa lutf de rahi hain adaaye ataab ki,
hai mauj bahre husn wo cheene jabee.n nahi.n

afsos hai ke dard bhi ab chhoDtaa hai saath,
yeh bhi aakHir waqt kahi.n hai,kahi.n nahi.n?

kahte hain log ''Daagh'' se,wo badgumaan hai,
aisaa tumhaari zaat se usko yaqee.n nahi.n

Daagh Dahelvi

Comments

Popular Posts