Yeh to uska hi karishma hai fusun hai, yu hai

Yu to kahne ko sabhi kahte hai yu hai yu hai..
Naseha ! tujh ko khabar kya ke muhabbat kya hai
Roz aa jaata hai samjhaataa hai, yu hai, yu hai
Ab tum aaye ho meri jaan tamaashaa karne..
Ab to darya me talatum na sukun hai, yu hai..
tum muhabbat me kaha sood o ziyaan le aaye
ishq ka naam khirad hai na junun hai, yu hai..
Shayari taza zamaano ki hai me’maar “Faraz”
Yeh bhi ik silisila e “Kun Fa Yakun” hai, yu hai..
Ahmad Faraaz

Comments
Post a Comment