zakhm e umeed bhar gaya kab ka

zakhm-e-ummeed, bhar gaya kab ka
qais to apney ghar gaya kab ka

aap ik aur neend ley lijiey
qaafla kooch kar gaya kab ka

dukh ka lamha, azal abad lamha
waqt ke paar utar gaya kab ka

apna munh ab to mat dikhao mujhay
nasiho, maiN sudhar gaya kab ka

nassha honey ka bey-tarah tha kabhi
par wo zalim utar gaya kab ka

aap ab poochney ko aaey haiN?
dil meri jaan, mar gaya kab ka!

 
Jaun Eliaa

Comments

  1. dil meri jaan mar gaya kab ka
    ahaa...:)

    aakhiri sher me kuchh mistyped hai....dekhna

    ReplyDelete
  2. aakhiri sher mein kuch confusion hai, filhaal maine use haTa diyaa hai...
    :) dhyaan dilaane ka shukriyaa

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts