aafareenash hi fan ki hai eejaad,
aafareenash hi fan ki hai eejaad,
yahi baaba alif ka hai irshaad,
fan hai apne ziyaad se bhi ziyaad,
yahi baaba alif ka hai irshaad
hai gumaan hi gumaan ki buniyaad,
yahi baaba alif ka hai irshaad,
tum bhi to ik jahaan karo ijaad,
yahi baaba alif ka hai irshaad,
khud bhi khud se kabhi raho aazad,
yahi baaba alif ka hai irshaad,
aur bhi hummen hain kai afraad,
yahi baaba alif ka hai irshaad,
koi buniyaad ki nahin buniyaad,
yahi baaba alif ka hai irshaad,
nahin andar jahan jahaan aabad,
yahi baaba alif ka hai irshaad,
sakht aafatrasaan hai yaad ki yaad,
yahi baaba alif ka hai irshaad,
hai jo ustaad vo hai be ustaad,
yahi baaba alif ka hai irshaad,
Comments
Post a Comment