aap ki yaad aati rahi raat bhar

aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm e nam muskuraati rahi raat bhar

raat bhar dard ki sham'aa jalti rahi
ghum ki lau thartharaati rahi raat bhar

baansuri ki surili suhaani sadaa
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar

yaad ke chaand dil mein utarte rahe
chandni jagmagaati rahi raat bhar

koi deewaanaa galiyo.n mein phirtaa rahaa
koi aawaaz aati rahi raat bhar

MakHdoom Muhi Uddin

Youtube link : Chaayaa Gaanguli (Jaidev ki mausiqi, Film-Gaman)

Comments

Popular Posts