Ab kahaan jaa ke ye samjhaaye.n ke kyaa hotaa hai

Ab kahaan jaa ke ye samjhaaye.n ke kyaa hotaa hai
ek aansu jo sar e chashm e wafaa hotaa hai

Is guzargaah mein is dasht mein aye zazbaa e ishq
juz tere koun yahaan aablaa paa hotaa hai

dil ki mehraab mein ik sham'aa jali thi sar e shaam
subah dum maatam e arbaab e wafaa hotaa hai

deep jalti hain mein ke chitaa jalti hai
ab ki deewaali mein dekhenge ke kyaa hotaa hai

jab barasti hai teri yaad ki rangeen phuhaar
phool khilte hain dar e maikadaa waa hotaa hai

MakHdoom Muhi Uddin

Comments

Popular Posts