akele hain wo aur jhunjhlaa rahe hain
akele hain wo aur jhunjhlaa rahe hain
meri yaad se jung farmaa rahe hain
ilaahi mere dost ho.n kHairiyat se,
ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain
ye kaisi hawaa e taraqqi chali hai
diye to diye dil bujhe jaa rahe hain
bahut kHush hain gustaakHiyo.n par humaari
bazaahir jo barhum nazar aa rahe hain
bahisht e tasavvur ke jalwe hain main hoon
judaai salaamat maze aa rahe hain
qayaamat ke aane mein rindo.n ko shak thaa
jo dekhaa to waaiz chale aa rahe hain
bahaaro.n mein bhi mai se parhez taubaa
"Khumaar" aap kaafir hue jaa rahe hain
Khumaar Baaraabankwi
meri yaad se jung farmaa rahe hain
ilaahi mere dost ho.n kHairiyat se,
ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain
ye kaisi hawaa e taraqqi chali hai
diye to diye dil bujhe jaa rahe hain
bahut kHush hain gustaakHiyo.n par humaari
bazaahir jo barhum nazar aa rahe hain
bahisht e tasavvur ke jalwe hain main hoon
judaai salaamat maze aa rahe hain
qayaamat ke aane mein rindo.n ko shak thaa
jo dekhaa to waaiz chale aa rahe hain
bahaaro.n mein bhi mai se parhez taubaa
"Khumaar" aap kaafir hue jaa rahe hain
Khumaar Baaraabankwi
Comments
Post a Comment