Aseer aye dost tere aashiq o maashooq dono.n hain

Aseer aye dost tere aashiq o maashooq dono.n hain
giraftaar aahni zanjeer kaa yeh woh tilaayi kaa

nikal aye jaan tan se taa visaal e yaar haasil ho
chaman ki sair hoon anjaam bulbul ki rihaayi kaa

visaal e yaar kaa waadaa hai fardaaye qayaamat par
yaqee.n mujhko nahin hai gor tak apni rasaayi kaa

Haidar Ali Aatish

Comments

Popular Posts