Ashk aankho.n mein kab nahi.n aataa

Ashk aankho.n mein kab nahi.n aataa
lahu aataa hai jab nahi.n aataa

hosh jaataa nahi.n rahaa lekin,
jab wo aataa hai tab nahi.n aataa

sabr thaa ek moonise hijraa.n
so wo muddat se ab nahi.n aataa

dil se rukHsat hui koi kHwaahish
giriyaa kuch besabab nahi.n aataa

ji mein kyaa kyaa hai apne aye humdam,
Par sukhan taa ba lab nahi.n aataa

door baithaa ghubaar e ''meer'' us se
ishq bin ye adab nahi.n aataa

Meer Taqi Meer

Comments

Popular Posts