Auro.n ke ghar jalaa ke qayaamat naa kar sakaa

Auro.n ke ghar jalaa ke qayaamat naa kar sakaa
ghar jal gayaa magar main shikaayat naa kar sakaa

us ne mujhe tabaah kiyaa is ke baawjood
do chaar din bhi se main nafrat naa kar sakaa

apne se baDh ke tujh pe mujhe etimaad thaa
afsos tu bhi meri hifaazat naa kar sakaa

maine bhi apni maut ko dekhaa qareeb se
aur us ke baad jeene ki hasrat naa kar sakaa

masjid shaheed hone kaa ghum to kiyaa magar
ik baar bhi main us mein ibaadat naa kar sakaa

sach hai watan se apne mohabbat nahin mujhe
shaayad isi wajah se main hijrat naa kar sakaa

''alvi'' ghalat bayaaniyaa.n dete rahe sabhi
sach bolne ki ek bhi himmat naa kar sakaa

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts