baddili men beqaraari ko qaraar aaya to kya

baddili men beqaraari ko qaraar aaya to kya
paa piyaada hoke koi shehsawaar aaya to kya

zindagi ki dhoop men murjhaa gaya mera shabaab,
ab bahaar aayi to kya, abr-e-bahaar aaya to kya 

mere tewar bujh gaye, meri nigaahein jal gayin,
ab koi aainaa roo, aainaadaar aaya to kyaa 

ab ki jab jaanaan tumko hai sabhi par aitbaar,
ab tumhen jaanaan mujhpar aitbaar aaya to kya,

ab mujhe apni hi baahon par nahin hai ikhtiyaar,
haath failaaye koi beikhtiyaar aaya to kyaa,

vo to ab bhi khwaab hai, bedaar beenaai ka khwaab,
zindagi main, khwaab men uske guzaar aaya to kya,

hum yahaan begaana hain, so hummen se jaun eliyaa,
koi jeet aaya yahaan, koi haar aaya to kyaa,


Comments

Popular Posts