Bandh lein haath pey sine pey saja lein tumko

Bandh lein haath pey sine pey saja lein tumko
Jee mein aata hai k taveez bana lein tumko

Phir tumhe roz sawarein tumhe badhta dekhein
Kyon na aangan mein chameli sa laga lein tumko
...
Kabhi khwaabon ki tarah aakhain k pardey mei raho
Kabhi khwaish ki tarah dil mein bula le tumko

Jis tarah raat ke seeney mei hai mehtab ka noor
Apne tarik makaano mein saja le tumko

Kya azab khwaish uth ti hai hamarey dil mein
Kar ke munna sa hawaon mein uchaalein tumko

Is kadar toot key tum pey hamey pyar aata hai
Apni baahon mein bharein maar hi dalein tumko
Wasi Shaah

Comments

Popular Posts