Bata saaton samandar aaine hain kin zamanon k
sada aai ye saaton aks hain saath aasmanon k
Bata mehmal hamesha zindagi k koch mein kyon hain
sada aai thikane door hain in karwanon k
...
Kaha duniya se her mehmal ko tanha kyon guzarna hai
sada aai k ye raste hain tanha saarbanon k
Bata aankhen mujhe de den samandar ki jagah kese
sada aai yaheen maujood hain moti khazanon k
Bata ye dhoop, ye talkhi kahan manzil koi dhonde
sada aai kahan bante hain raste saaibanon k
Kaha itna urron sara jahan ma'dom hojaye
sada aai k hum to muntazir hain in urranon k
Bata dil per ghamon ki dhoop ka koi asar hoga
sada aai yunhi pathar chattakhte hain chattanon k
Kaha sari zameen meri mohabbat ka nazarah hai
sada aai meri aankhen hain taare aasmanon k
Adeem Haashmi
Comments
Post a Comment