Bhool kar bhi naa phir milegaa tu

Bhool kar bhi naa phir milegaa tu
jaantaa hoon yahi karegaa tu

dekh aage maheeb khaayi hai
lauT aa warnaa gir paDegaa tu

dil ki takHti pe naam hai teraa
yaan nahin to kahaan rahegaa tu

roz khiDki mein aa ke jhaankegaa
paas ke room mein phiregaa tu

mere aangan mein ek paudaa hai
phool ban kar mahek uThegaa tu

raaste mein kai dukaane.n hain
har dukaa.n par dikhaayi degaa tu

maine aankho.n se jeb bhar li hai
dekhtaa hoon kahaan chhupegaa tu

kHush rakhengi ye dooriyaa.n tujh ko
kyaa yun hi muskuraa sakegaa tu

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts