Chaahta hai wo inteha karna
jism se jaan ko juda karna
Kab wafaon ko yaad rakhta hai
bholta hi nahi jafa karna
...
Jesay tesay bhi aesay wesay bhi
qarz saanson hai ada karna
Waadi-e-khaar ishq hai aazaar
ab kisi se bhi kya gila karna
Maan letay hain apni haar Jaleel
jeet kar bhi hai us se kya karna
Ahmad Jaleel
Comments
Post a Comment