daaman-e-koh men to, main dahaad maar roya,

daaman-e-koh men to, main dahaad maar roya,
ik abr waan se uthkar beikhtiyaar roya,

padtaa na tha bharosa, ehd-e-wafaa-e-gul par,
murg-e-chaman na samjha, main to hazaar roya,

har gul zameen yaan ki, rone ki hi jagah thi,
maanind-e-abr har jaa amin zaar zaar roya,

thi maslehat ki rukkar, hijraan men jaan dije,
dil kholkar n gham men main ek baar royaa,

ik ajz-e-ishq uska, asbaab sadalam tha,
kal meer se bahut main, hokar do chaar royaa,

Comments

Popular Posts