Dekhoo.n main apni aankho.n se aawe mujhe qaraar,

Dekhoo.n main apni aankho.n se aawe mujhe qaraar,
aye intizaar tujhko kisi ka ho intizaar

kyaa dhab se raah e ishq chaloo.n hai ye Dar mujhe
phooTe.n kahi.n aable TooTe.n kahi.n naa kHaar

kooche ki uske raah naa batlaayi baad e marg
dil mein sabaa rakhe the miri kHaak se ghubaar

aye paa e kHum ki gardish e saaghar ho dastgeer
mahoorn dard e sar ho kahaan tak miraa kHumaar

wus'at jahaan ki chhoD jo aaraam chaahe ''meer'',
aasoodgi rakhe hai bahut goshaa e mazaar

Meer Taqi Meer

Comments

Popular Posts