Dil e naakaam ke hain kaam kHaraab,

Dil e naakaam ke hain kaam kHaraab,
kar liyaa aashiqui mein naam kHaraab

zulf hai chor, chashm e yaar shareer
Husn ka sab hai intzaam kHaraab

dekh kar jinse-dil wo kahte hain
kyun kare koi apnaa daam kHaraab

abr e tar se sabaa hi achchi thi
meri miTTi hui tamaam kHaraab

kyaa milaa humko zindagi ke sivaa
wo bhi dushwaare naatamaam kHaraab

chaal ki rahnumaa e ishq ne bhi
wo dikhaayaa jo thaa muqaam kHaraab

''daagh'' hai badchalan to hone do
sau mein hotaa hai ik ghulaam kHaraab

Daagh

Comments

Popular Posts