Dil gayaa tumne liyaa hum kyaa kare.n
Dil gayaa tumne liyaa hum kyaa kare.n
Jaane wali cheez kaa ghum kyaa kare.n?
ek saaghar par hai apni zindagi,
raftaa raftaa usse bhi kum kyaa kare.n?
kar chuke sab apni apni hikmate.n
dum nikaltaa hai wo humdum kyaa kare.n
dil ne seekhaa shevaa e begaangi
aise na-mehram ko mehram kyaa kare.n?
maarqaa hai aaj husn aur ishq kaa
dekhiye wo kyaa kare.m, hum kya kare.n?
tund kHoo.n hai, kab sune woh dil ki baat,
aur bhi barham ko barham kyaa kare.n?
aainaa hai aur woh hain dekhiye
faislaa ek dono.n baaham kyaa kare.n?
kahte hain ahl e sifaarish mujhse ''daagh''
teri qismat hai buri hum kyaa kare.n?
Daagh Dahlvi
Comments
Post a Comment