Dil jo zer-e-ghubaar aksar tha,

Dil jo zer-e-ghubaar aksar tha,
kuch mizaaj un dinon mukaddar tha,

is pe takiya kiya to tha lekin,
raat din hum the aur bistar tha,

dil ki kuch qadr karte rahiyo tum,
ye hamara bhi naaz parwar tha,

baad-e-yak umr jo hua maaloom,
dil us aainaaroo ka paththar tha,

bezari ka n kar gilaa gaafil,
reh tasalli ke yoon muqaddar tha,

kitne munam jahaan men guzre,
waqt rehlat ke kis kane zar tha,

saahib-e-jaah shaukat-o-iqbaal,
ik azaan jumlaa ab sikandar tha,

thi ye sab kaaynaat zer-e-nageen,
saath mor-o-malakh sa lashkar tha,

laa-o-yaaqoot, hum zar-o-gauhar,
chahiye jis qadar, mayassar tha,

Aakhirekaar jab jahaan se gaya,
haath khaali, kafan se baahar tha,

aib-e-tol-e-kalaam mat kariyo,
kya karoon main, sukhan se khoogar tha,

khush raha jab talak raha jeeta,
"meer" maloom hai qalandar tha,

Comments

Popular Posts