Dil khenchaa halaaki ko, nipat khench kasaada,
Dil khenchaa halaaki ko, nipat khench kasaada,
le yaar mere salmaa-e-allah ta`aala,
Kuch main nahin us dil ki pareshaani ka bais,
barham hi mere haath laga tha ye risalaa,
m`aamoor sharabon se, kabaabon se hai sab dair,
masjid men hai kya shekh piyaala na niwaala,
guzre hai lahoo waan sar-e-harkhaar se ab tak,
jis dasht men phoota hai mere paaon ka chaala,
gar qasd idhar ka hai, to tuk dekh ke aana,
ye dair hai, zahhad, na ho khaana-e-khaala,
jis ghar men tere jalwe se ho chaandani ka farsh,
waan chaadar-e-mehtaab hai, makdi ka sa jaala,
dushman na kadoorat se, mere saamne ho jo,
talwaar ke ladne ko, mere kijo hawaala,
namos mujhe saafi-e-tainat ki hai warnaa,
rustam ne meri teg ka hamlaa na sambhalaa,
dekhe hai mujhe, deeda-e-purchashm se vo "meer"
mere hi naseebon men tha ye zehar ka pyaala,
Comments
Post a Comment