Dil mein waaiz ki baat kyaa utre

Dil mein waaiz ki baat kyaa utre
sun chukaa hoon main haal hazrat ke

kis ko subah o watan ki yaad aayi?
rang faq hai jo shaam e ghurbat kaa

chaman e daher kyun naa ho sarsabz
phool khilta hai teri rangat kaa

zindagi bhi laqab isi kaa hai
naam marnaa bhi hai mohabbat kaa

marne waalo, kaTaa zamaanaa ye hijr
din qareeb aa gayaa qayaamat kaa

kar sakoo.n sharh e haal kyun kar main
hashr kul ek din hai mohlat kaa

kahte hain is jahaa.n ke soorat gar
Phool charbaa hai teri soorat kaa

Saad Azeemaabaadi

Comments

Popular Posts