ek aafat hai ye piyaala-e-naaf,

ek aafat hai ye piyaala-e-naaf,
kya qayaamat hai ye piyaala-e-naaf,

ab kahan hosh humko hashr talak,
ke salaamat hai ye piyaala-e-naaf,

jaun baba alif ka hai, irshaad,
kaar-e-vehdat hai ye piyaala-e-naaf,

shab kharaabat men raha ye sukhan,
dil ki rukhsat hai ye piyaala-e-naaf,

zindagi aarzoo ki qaamat hai,
naaf-e-qaamat hai ye piyaala-e-naaf,

hai isi ki gadaai par guzraan, 
dil ki daulat hai ye piyaala-e-naaf,

iski jumbish hai tishanagi angez,
hashr-e-haalat hai ye piyaala-e-naaf,

zindagi hai sharaabiyon ki haraam,
qadr-e-hurmat hai ye piyaala-e-naaf,
koi iski rasad nahin juz rang,
khoon-e-hasrat hai ye piyaala-e-naaf,

Comments

Popular Posts