Fitnaagar aankh thi, woh zulf e dutaa aur hui
Fitnaagar aankh thi, woh zulf e dutaa aur hui
yeh bawaal e dil o jaa.n, ek balaa aur hui
chaaraagar se mujhe takleef sivaa aur hui
dil ko thaa aur marz, uski dawaa aur hui
raah par aaye to hain ghar mein bhi aa jaayenge
ek maqbool agar meri du'aa aur hui
aadmi ke liye jannat bhi naa dozakH ho jaaye
raas kab aayi agar aabo hawaa aur hui
jurm par jurm karoo.n denge sazaa kis kis ki
thak naa jaayenge kHataa par jo kHataa aur hui
wo ye kahte hain nayi baat nahin rasm e jafaa
hoti aati hai humeshaa se ye kyaa aur hui
aashiqo.n kaa bhi wo andaaz e tabiyat naa rahaa
pahle kuch aur thi ab rasm e wafaa aur hui
dil mein kuch kHaar e mohabbat ki abhi se hai kHalish
hum kahaan iski agar nashsho numaa aur hui
''daagh'' maykHaane se butkHaane ko tu jaa pahunchaa
teri taareef yeh, aye mard e kHudaa aur hui
Daagh Dahelvi
Comments
Post a Comment