Hai nigaahe lutf dushman to bandaa jaay hai

Hai nigaahe lutf dushman to bandaa jaay hai
yeh sitam aye bemurawwat kisse dekhaa jaay hai

husne roz afzoo.n pai gHurraa kis liye aye maahroo
yun hi GhaTtaa jaayegaa jitnaa ke baDhtaa jaay hai

ab to mar jaanaa bhi mushkil hai tere beemaar kaa
zof ke baais kahaan duniyaa se uthThaa jaay hai

ghar ke humraah woh aataa hai main hairaan hoon
kiske istaqbaal ko ji meraa tan se jaay hai

Momin Khaa.n Momin

Comments

Popular Posts