Husn e pari ik jalwaye mastaanaa hai uskaa

hushiyaar wahi hai ke jo deewaanaa hai uskaa
woh yaad hai uski ke bhulaa de do jahaan ko
haalat ko kare ghair woh yaaraanaa hai uskaa
yusuf nahin jo haath lage chand diram se
qeemat jo do aalam ki hai bayaanaa hai uskaa
yeh haal huaa uske faqeero.n se haweedaa
aalooda ye duniyaa jo hai begaanaa hai uskaa
Haidar Ali ''Aatish''

Comments
Post a Comment