Is shaher mein kahin pe humaaraa makaa.n bhi ho

Is shaher mein kahin pe humaaraa makaa.n bhi ho
baazaar hai to hum pe kabhi mehrbaa.n bhi ho

jaage.n to aas paas kinaaraa dikhaayi de
dariyaa ho pursuqoon khulaa baadbaa.n bhi ho

ik dost aisaa ho ke meri baat baat ko
sach maantaa ho aur zaraa badgumaa.n bhi ho

raste mein ek peD ho tanhaa khaDaa huaa
aur us ki ek shaakH pe ik aashiyaa.n bhi ho

us se mile zamaanaa huaa lekin aaj bhi
dil se du'aa nikalti hai kHush ho jahaan bhi ho

hum us jagah chale hain jahaan ye zamee.n nahin
achchaa ho gar wahaan pe nayaa aasmaa.n bhi ho

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts