Ishq ke shole ko bhaDkaao ke kuch raat kaTe,
Ishq ke shole ko bhaDkaao ke kuch raat kaTe,
dil ke angaare ko dahkaao ke kuch raat kaTe
hijr mein milne shab e maah ke ghum aaye hain
chaaraasaazo.n ko bhi bulwaao ke kuch raat kaTe
koi jaltaa hi nahin koi pighaltaa hi nahin,
mom ban jaao pighal jaao ke kuch raat kaTe
chashm o rukHsaar ke azkaar ko jaari rakho,
pyaar ke naghme ko dohraao ke kuch raat kaTe
aaj ho jaane do har ek ko bad sat o kHaraab
aaj ek ek ko pilaao ke kuch raat kaTe
koh e ghum aur giraa.n aur giraa.n aur giraa.n
Ghumzado teshe ko chamkaao ke kuch raat kaTe
MakHdoom Muhi Uddin
Comments
Post a Comment