Jab lage zakhm to qaatil ko duaa dii jaaye

Jab lage zakhm to qaatil ko duaa dii jaaye
hai yahii rasm to ye rasm uthaa dii jaaye

tishnagii kuchh to bujhe tishnaalab-e-Gham kii
ik nadii dard ke shaharo’n me’n bahaa dii jaaye
...
dil kaa vo haal huaa ai Gham-e-dauraan ke tale
jaise ik laash chattaano’n me’n dabaa dii jaaye

ham ne insaano’n ke dukh dard kaa hal Dhuundh liyaa
kyaa buraa hai jo ye afvaa uDaa dii jaaye

ham ko guzarii huii sadiyaa’n to na pahachaane’ngii
aane vaale kisii lamhe ko sadaa dii jaaye

phuul ban jaatii hai’n dahake hue sholo’n kii lave’n
shart ye hai ke unhe’n khuub havaa dii jaaye

kam nahii’n nashe me’n jaade kii gulaabii raate’n
aur agar terii javaanii bhii milaa dii jaaye

ham se puuchho Ghazal kyaa hai Ghazal kaa fan kyaa hai
chand lafzo’n me’n koii aah chhupaa dii jaaye
 Jaa.n Nisaar AkHtar

Comments

Popular Posts