jaun guzisht-e-waqt ki haalat-e-haal par salaam,

jaun guzisht-e-waqt ki haalat-e-haal par salaam,
is firaaq ko duaa, is visaal par salaam,

tera sitam bhi tha karam, tera karam bhi tha sitam,
bandagi teri teg ko, aur teri dhaal par,

sood-o-ziyaan ke farq ka, ab nahin humse waasta,
subah ko arz-e-kornish, shaam-e-malaal par salaam,

ab to nahin hai lazzat-e-mumkin-e-shauq bhi naseeb,
roz-o-shab-e-zamaana-e-shauq-e-muhaal par salaam,

hijr sawaal ke hain din, hijr jawab ke hain din,
iske jawaab par salaam, iske sawaal par salaam,

jaan vo rang masti-e-khwaab-o-khayaal kya hui,
ishrat-e-khwaab ki sanaa, aish-e-khayaal par salaam,

apna kamaal tha ajab, apna zawaal tha ajab,
apne kamaal par durood, apne zawaal par salaam,

Comments

Popular Posts