Jigar aur dil ko bachaanaa bhi hai

Jigar aur dil ko bachaanaa bhi hai
nazar aap hi se milaanaa bhi hai

muhabbat kaa har bhed paanaa bhi hai
magar apnaa daaman bachaanaa bhi hai

jo dil tere ghum kaa nishaanaa bhi hai
qateel e jafaaye zamaanaa bhi hai

ye bijli chamakti kyun dum ba dum
Chaman mein koi aashiyaanaa bhi hai

kHirad ki itaa'at zuroori sahi
yahi to junoo.n kaa zamaanaa bhi hai

naa duniyaa naa aqbaa kahaa.n jaaiye
kahi.n ahle dil kaa Thikaanaa bhi hai

mujhe aaj saahil pe rone bhi do
ke toofaan mein muskuraanaa bhi hai

zamaane se aage to badhiye ''majaaz''
zamaane ko aage baDhaanaa bhi hai

Asraar Ul Haq ''Majaaz Lucknowi''

Comments

Popular Posts