jo guftini nahi wo baat bhi suna doon ga

jo guftini nahi wo baat bhi suna doon ga
tu eik baar to mil, sab gilay mita doon ga

majal hai koi mujh se tujhay juda kar dai
jahan bhi jaye ga tu main tujhe sada doon ga
...
teri gali mein bohat dair se khara hoon magar
kisi ne pooch liya to jawab kiya doon ga

meri khamosh nigaahon ko chashm-e-kam se na dekh
main roo para to dilon k tabaq hila doon ga

yunhi udaas raha main to dekhna eik din
tamaam shehar mein tanhaiyan bicha doon ga

wo dard hi na raha warna aay mata'a-e-hayat
mujhay gumaan bhi na tha main tujhay bhula doon ga

abhi to raat hai kuch dair soo hi lay Nasir
koi bulaye ga to main tujhay jaga doon ga

Naasir Kaazmi

Comments

Popular Posts