jo zindagi bachi hai use mat ganwaiye,

jo zindagi bachi hai use mat ganwaiye,
behtar hai ye ki aap mujhe bhool jaaiye,

har aan ik judaai hai, khud apne aap se, 
har aan ka hai zakhm, jo har aan khaiye,

thi mashwarat ki humko basaana hai ghar naya,
dil ne kaha ki mere dar-o-baam dhaaiye,
thooka hai maine khoon hamesha mazaaq men,
mera mazaaq aap hameshaa udaaiye,

hargiz mere huzoor kabhi aaiye na aap,
aur aaiye agar, to khudaa ban ke aaiye,

ab koi bhi nahin hai, koi dil muhalle men,
kis kis gali men jaaiye, aur gul machaiye,

ik taur-e-deh sadi tha, jo betaur ho gaya,
ab jantari bajaaiye, taarikh gaaiye,

ik laal qilaa tha, jo miyaan zard padd gaya,
ab rangrez kaun se, kis jaa se laaiye,

shaayar hain aap, yaani ki saste latifaa go,
rishton ko dil se roiye sabko hansaaiye,

jo haalaton ka daur tha, vo to guzar gaya,
dil ko jalaa chuke hain, so ab ghar jalaiye,

ab kya fareb dijiye, aur kisko dijiye,
ab kya fareb khaiye, aur kisse khaaiye,

hai yaad par madaar mere kaarobaar ka,
hai arz aap mujhko bahut yaad aaiye,
bas faailon ka bojh uthaya karen janaab,
misra ye "jaun" ka hai ise mat uthaaiye,

Comments

Popular Posts