Jungal jungal ek parindaa ro legaa
Jungal jungal ek parindaa ro legaa
basti mein aane ko par nahi.n kholegaa
raste kaa kuttaa hai samay ki mat poocho
koi sawaari dekh ke peeche ho legaa
dil pe daagh lage hain us kaa kyaa hogaa
maarne waalaa haath to apne dho legaa
Ik din koi chaabi lekar aayegaa
jaadu kaa sandkooq kabhi to kholegaa
baawan saal se dharnaa de kar baiThaa hoon
kabhi to mere andar waalaa bolegaa
Mohammad Alvi

Comments
Post a Comment