Kal raat sooni chhat pe ajab saanihaa huaa

Kal raat sooni chhat pe ajab saanihaa huaa
Jaane do yaar koun bataaye ke kyaa huaa

nazro.n se naaptaa hai samandar ki wus'ate.n
saahil pe ek shakHs akelaa khaDaa huaa

lambi saDak pe door talak koi bhi naa thaa
palke.n jhapak rahaa thaa dareechaa khulaa huaa

maanaa ke tu zaheen bhi hai, kHoobru bhi hai
tujh saa naa main huaa to bhalaa kyaa buraa huaa

din Dhal rahaa thaa jab use dafnaa ke aaye the
sooraj bhi thaa malool zamee.n par jhukaa huaa

kyaa zulm hai ke shaher mein rahne ko ghar nahin
jangal mein peD peD pe thaa ghar banaa huaa

''Alvi'' ghazal kaa kHabt abhi kum nahin huaa
jaayegaa ji ke saath ye haukaa lagaa huaa

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts