koi nahin yahan khamosh, koi pukaartaa nahin,
koi nahin yahan khamosh, koi pukaartaa nahin,
shehar men ik shor hai, aur koi sadaa nahin,
aaj vo padh liya gaya, jisko padhaa na jaa saka,
aaj kisi kitaab men kuch likha hua nahin,
apne sabhi gile bajaa, par hai yahi ki dilrubaa,
mera tera muaamlaa, ishq ke bas ka tha nahin,
kharch chalega ab mera, kiske hisaab men bhalaa,
sabke liye bahut hoon main, apne liye zaraa nahin,
jaaiye khud men raaygaan, aur vo yoon ki dostaan,
zaat ka koi maajra, shehar ka maajraa nahin,
seena b seena, lab b lab, ek firaaq hai ki hai,
ik firaaq hai ki hai, ek firaaq kya nahin,
apna shumaar kijiyo, ai meri jaan tu kabhi,
maine bhi apne ko, aaj talak ginaa nahin,
tu vo badan hai jismen jaan, aaj laga hai jee mera,
jee to kahin laga tera, sun, tera jee laga nahin,
naam hi naam chaarsoo, ek hujoom ru ba ru,
koi to ho mere siwaa, mere siwaa koi nahin,
apni jabeen pe mane aaj, deen kayi baar dastaken,
koi pata bhi hai tera, mera pataa koi nahin,
Comments
Post a Comment