Main ke phir dasht-e-rafaqat ka safar kar aya
kya kahon kitni aziyat se guzar kar kar aya
Her koi hum se mila umr-e-gurezan ki tarah
wo to jis dil se bhi guzra waheen gher kar aya
...
Tum ne ek sang uthaya mere aaine per
aur her shakhs ko main aaina gar kar aya
Mujh se kya pochte ho shehar-e-wafa kaisa hai
aisa lagta hai salebon se utar kar aya
Sirf chehre hi agar karb k aaine hain
kyon na main dil ka lahu aankh mein bhar kar aya
Ab jo us shehar ki taqdeer ho, main to logo
dar-o-dewar pe hasrat ki nazar kar aya
Hum to samjhe thay mohabbat ka payambar hai Faraz
aur wo bemehar bhi tauheen-e-hunar kar aya
Ahmad Faraaz
Comments
Post a Comment