Mohabbat mein naa koi ji se guzartaa

Mohabbat mein naa koi ji se guzartaa
samajh le yun ke martaa kyaa naa kartaa

mazaa kyaa aye hubaab is zindagi kaa
ke dum bhar to kisi kaa dum to bhartaa

wo hukn qatl agat dete zubaa.n se
to aisi bekasi se main naa martaa

shikaayat haaye hijraa.n sun to lete
kHafaa hote magar main kah guzartaa

Shab e furqat ,ilaahi !! aasmaa.n se
Farishtaa koi rahmat kaa utartaa

ghazab ye daar thaa dariyaa e ghum ''shaad''
jo Doobaa is mein wo kyun kar ubhartaa

Shaad Azeemaabaadi

Comments

Popular Posts