mujhko aap apna aap dijiyega,

mujhko aap apna aap dijiyega,
aur kuch bhi na mujhse lijiyega,

aap bemisl, bemisaal hoon main,
mujh siwaa aap kis pe rijhiyega,

aap jo hain azal se hi benaam,
naam mera kabhi to lijiyega,

aap bas mujhmen hi to hain, so aap,
mera behad khayaal kijiyega,

hai agar waaqai, sharaab haraam,
aap hothon se mere pijiyega,

Intezaari hoon apna main, din raat,
ab mujhe aap bhej dijiyega,

aap mujhko bahut pasand aaye,
aap meri kameez sijiyega,

dil ke rishte hain khoon jhooth ke sach,
ye muamma, kabhi na boojhiyega,
hai mere jism-o-jaan ka mazi kya ?
mujhse bas ye kabhi na poochiyega,

mujhse meri kaami ka sar-e-shaam,
paai paai hisaab lijiyega,

zindagi kya hai, ik hunar, karna,
so qareene se zeher pijiyega,

main jo hoon, "jaun eliya" hoon janaab,
iskaa behad lihaaz kijiyegaa,

Comments

Popular Posts