naa haaraa hai ishq aur naa duniyaa thaki hai

naa haaraa hai ishq aur naa duniyaa thaki hai
diyaa jal rahaa hai hawaa chal rahi hai

suqoo.n hi suqoo.n hai, kHushi hi kHushi hai
teraa ghum salaamat mujhe kyaa kami hai

charaagho.n ke badle makaa.n jal rahe hain
nayaa hai zamaanaa nayi raushni hai

are o jafaao.n pa chup rahne waalo
kHamoshi jafaao.n ki taaeed bhi hai

mere raahbar mujhko gumraah kar de
sunaa hai ke manzil qareeb aa gayi hai

"Khumaar" aye balaanosh tu aur taubaa
tujhe zaahido.n ki nazar lag gayi hai

Khumaar Baaraabankwi

Comments

Popular Posts