Naam zere aasmaa.n baaqi rahaa,
Naam zere aasmaa.n baaqi rahaa,
mar miTo.n kaa yun nishaa.n baaqi rahaa
uske dar par jabee.nzaa.n laakho hue
phir bhi sange aastaa.n baaqi rahaa
aye gudaaze ghum tujhe khaa jaaongaz
ek bhi gar ustkHwaa.n baaqi rahaa
miT gaye duniyaa ke jalse sainkDo.n,
hai ghaneemat, jo samaa.n baaqi rahaa
aankh apni roz e mahshar khul chuki,
kuch agar kHwaab e garaa.n baaqi rahaa
dillagi ho jaayegi zere mazaar
tu jo aye dard e nihaa.n baaqi rahaa
aazmaayi hai muravvat hi abhi
imtehaa.n saa imtehaa.n baaqi rahaa
haal kuch naa daavre mahshar na kuch
haal mujhme.n ab kahaa.n baaqi rahaa
jaa chukaa aye ''Daagh'' sab maalo mataa'a
shukr hai lutf e zabaa.n baaqi rahaa
Daagh
Comments
Post a Comment