diyaa apni kHudi ko jo hamne uthaa, wo jo parda saa beech mein thaa, naa rahaarahaa parde mein ab naa wo pardaanasheeN, koi doosraa uske sivaa naa rahaa
Nahi.n ishq mein iska to ranj hume.n ke qaraar o shakeb zaraa naa rahaaghum e ishq to apnaa rafeeq rahaa koi aur balaa se rahaa naa raha
Naa thi haal ki jab hume.n apne kHabar rahe dekhte auro.n ke aib o hunar,
paDi apni buraaiyo.n pe jo nazar to nigaah mein koi buraa naa rahaa
''zafar'' aadmi usko naa jaaniyegaa ho wo kaisaa hi saahib e fahmo zakaa
jise aish mein yaad e kHudaa naa rahi jise taish mein kHauf e kHudaa naa rahaa
Bahaadur Shaah ''Zafar''
(Bahadur Shah Zafar 24 October, 1775 ko paida hue the, wo mahaan MugHal samraajy ke aakHiri baadshaah the)
Comments
Post a Comment