Paataa nahin jo lazzat e aahe saher ko main

Paataa nahin jo lazzat e aahe saher ko main
phir kyaa karoo.ngaa leke ilaahi asar ko main

aashoob gaah e hashr mujhe kyun ajeeb ho
jab aaj dekhtaa hoon tiri rahguzar ko main

aisaa bhi ek jalwaa thaa is mein chhupaa huaa
is rukH pe dekhtaa hoon ab apni nazar ko main

jeenaa bhi aa gayaa mujhe, marnaa bhi aa gayaa
pahchaanne lagaa hoon tumhaari nazar ko main

wo shokHiyo.n se jalwaa dikhaa kar to chal diye
unki kHabar ko jaaon ke apni kHabar ko main

Asghar mujhe junoo.n nahin,lekin ye haal hai
ghabraa rahaa hoon dekh ke deewaar o dar ko main

Asghar GonDvi

Comments

Popular Posts