paigaam-e-gham jigar ka, gulzaar tak na pahuncha,

paigaam-e-gham jigar ka, gulzaar tak na pahuncha,
naala mera, chaman ki deewar tak na pahuncha,

us aaine ki maanind zangaar jisko khaawe,
kaam apna uske gam men, deedar tak na pahuncha,

joon naqsh-e-paa hai gurbat, hairaan-e-kaar uski,
aawara ho watan se, jo yaar tak na pahuncha,

labrez-e-shikwa the hum, lekin huzoor tere,
kaar-e-shikayat apna, guftaar tak na pahuncha,

le chashm-e-nam raseeda, paani chuaane koi,
waqt-e-akheer uske, beemar tak na pahucnha,

ye bakht-e-sabz dekho, baag-e-zamana men se,
pazmurda gul bhi apni, dastaar tak na pahuncha,

mastoori khoob rooee, donon na jamaa hoven,
khoobi ka kaam kiski, izhaar tak na pahuncha,

yoosuf se leke taa gul, phir gul se leke taa sham`a,
ye husn kisko lekar baazar tak na pahuncha,

afsos "meer" vo jo hone shaheed aaya,
phir kaam unka uski talwaar tak na pahuncha,
 
Meer Taqi Meer

Comments

Popular Posts